First of all mein ap sab ko thanks kahounga, q k ap k feedback and replies se hi baat ki clearity hoti hai (Doesn’t matter if you reply it in a harsh way, any opinion is always a valuable one). Last time meinay baat ki thi k mobile ki waqai mein humko kitni zaroorat hai, lekin aj thora topic se hat ker baat is lye kerounga q k logo ne kafi objections raise kye hai, aur sari kharab chizoun ka kasoor mobile per daal dia hai, so i thought k is per kuch baat openly kerni chaiye.
Ek baat jis ko kafi laug galat tarikay se dekhtay hai, woh yeh k Mobile ka use new generation wrong way mein ker rahi hai. Aisa koi bhi person is lye sochta hai because woh sirf 1 hi mindset se mobile ki technology ko dekh raha hai. For example, meinay apni ammi (mother) se yahi sawal poocha k apka mobile k baray mein kia khayal hai?, to unka jawab tha k hai to mobile buhat kaam ki chiz aj kal k halaat ki wajah se, mager yeh larkay larkia is ko galat kamo k lye use ker rahay hai. Yeh wohi typical jawab hai jo k ap her dosray banday se suneingay.
Q k akser larkay aur larkia late night mobile k packages activate ker k us per secretly baat kertay hai, us per internet k through galat chizein dekhtay hai, apna time games wagera per khel ker waste kertay hai…. to issi wajah se mobile bhi kharab ho gaya…
Ager koi insaan ap k samnay poison le ker moo mein dalayga, to hum kia us ki shaqal dekhtay raheingay?. I know k yeh statement thori lame hai, mager hum sab ko thora zaida open ho ker sochna parayga k akhir yeh sab ager ho bhi raha hai, to iski wajah kia hai and isko kis tarah se control kia ja sakta hai. Na k bas sara kasoor mobile ki technology per daal dia jaye k mobile aj kal ki generation ko kharab ker raha hai.
Problem mobile ki technology mein nahi, meray aur ap ki soch ki hai. Hum sab apni kamzorio (weaknesses) ko chupanay k lye sara kasoor mobile per daal detay hai. Ager mera chota (younger) brother or sister apnay room mein secretly mobile per kuch ker raha hai ya kissi se baat ker raha hai, to yeh zimeindari (responsibility) hai meray parents ki and meri, k us ko sahi se monitor kero aur aisi situation hi create na honay do. Because hum aisa kertay nahi hai, that’s why hum mobile ko blame kertay hai.
Yaha per kuch laug zaroor kaheingay k ap 24 hours to kissi per nigah (eyes) nahi rakh saktay, to mein unko yahi kahounga k ofcourse not, but do what you can do atleast. Just because you find out k koi larka ya larki mobile ka galat use ker raha hai to blame sara Mobile per agaya. Mobile k galat use ko intelligently handle kia ja sakta hai, na k us ko totally block hi ker dia jaye.
Her chiz ki possitive side bhi hoti hai and negative side bhi. It depends on the individuals k ap konsa route lena chahtay hai. Being an IT guy, mujhe pata hai k mein kis tarah se logo k mobile ko track ker sakta ho, un k mobile ki her activity ko monitor ker sakta ho and control ker sakta ho un k usage ko. It’s all about how you adopt the new technologies and manage it. Kissi chiz se door bhagna ilaaj (solution) nahi hai, balqay us ko seekh ker sahi se use kerna samajhdari hoti hai.
Tell me what you all think about it and is sari situation ko ap caisey dekhtay hai. Please do share your advise, suggestions by replying it to me.